Muslim Wedding Card Shayri
agar aap dhundh rhe hain muslim wedding card shayri to aaj mai laya hu aap ke liye
Best and latest Muslim Wedding Card Shayri ka behtreen collection
gee haa doston mere paas jitna tha aur dhundhne par jitna mil saka
main sab yha pe likhh deta hu jise padh kr aap apne card me laga sakte hain.
agar aap costomer hain yani aap apni shadi ka card print karana chahte hain to
aap dukandar se bol kr ye shayri apne card pr chhpwa sakte hain
aur agar aap dukandar yani ek printers hain to aap ise apne costomer ke card pr print kar sakte hain.
to chaliye deri na krte huye pesh hai aapki khidamat me kuch muslim weddin card ke behtreen shayri
1
khusi farsh par hogi charcha arsh par hoga
ek sunnat ada hogi ek farz ada hoga
sitaro me chamak hogi chand bhi chamkta hoga
wallah kitni khusi hogi jis wakt nikah hoga
kisi bhi kism ka cdr for download karne ke liye aap hmare official website trbahadurpur.com par visit kar sakte hain

2
Bas itni arjoo hai ki dawat kabool ho. Dil me kholus hath me ulfat ka phool ho.

3
Allah ka karam hai inayat rasool ki, Shadi hmare ghar me hain Barkat rasool ki
ummeed hai ki aap bhi tashrif layenge, Dawat qabool karna hai sunnat rasool ki

Download Wedding Card Cdr file
4
Najar ho jispe teri uska puchhna hi kya, Teri najar hai khuda ki njar ya garib nawaj

5
khuda gawah dobal har ek khusi hogi, Shguftagi pye andaje bandagi hogi
hai ilteja mere nure najar ki shadi me , karam janab ki tashrif aawari hogi.

6
phoolon ki hansi ho ki sitaro ki adaye, Sab aap pr kurban hai tashrif to laye

7
jahmat utha ke aap jo tashrif layenge, kaliyo ki kya basat hai ham dil bichayenge.

8
Range nishat bajme do aalam pe chha gya, Jis din ka intejar tha wo din bhi aa gya.

9
jahmat jo ki hojur aap ne aane ki bajm me, Dil se Hojur aap ke aane ka shukriya

10
Kis qadar aapki aamad ka yakin hain dil ko, Hont bechain hai ijhare tashakkur ke liye.

11
Shad rhe aabad rhe is bajm ke dulha dulhan, Hashr tak jinda rhe do dilon ka milan.

12
Sare ahbab de rhe hain dua dil se bar bar, Ta umr salamat rhe dulha dulhan ka pyaer.

13
Badh gyi raunake mahfil tumhare aane se, Dil ne khus aamded kaha lab ne afrin kaha.

14
Nure najar ki shadi me tashrif layiye, aankhe bicha ke baithe hain ham intjar me.

15
ae bade saba kuch tune suna mehman jo ane wale hain, kaliya na bichana raho me ham dil ko bichane wale hain.

16
Main khus hoke kismat pe apni naaj kru, Jo mujh gareeb ki dawat qabool ho jaye.

17
Is gulshne hayat ko ya rab sanwar de, jisko kheja mita na sake wo bahar de.

18
jara taklif to hogi yakinan aane jane me, magar khusiyan meri badh jayegi tashrif lane me.

19
Muntajir chasm bhi qalb bi hain jaan bhi, aap ke anae ki hasrat bhi hai arman bhi,
kijiye dawate naacheej basad shauk qabool, Rasme duniya bhi hai, sunnat bhi hain ehsan bhi.

20
Fule fale ye baag dua kar rha hu main, Mabood apna farj ada kr rha hu main
Pala tha sau jatan se jise maine aaj tak, Us lakhte jigar ko aaj juda kr rha hu main.

21
khuda ne apni qudrat ka ajab naqsa banaya hai, kahi paida kiya dulhan kahi dulha banaya hai
ye dono arshe aazam se mokarrar hoke aye hain, khuda ne apni qudrat se dono ko milaya hai.

22
aap ayenge khusiyon me jamal ayega, warna umr bhar na ane ka khyal ayega
wakt ki dhum to gairo se bhi ho jayegi aap na aye to dil ko malal ayega.

23
raunake bajm badhegi jo inayat hogi, aap tashrif na laye to shikayt hogi.

24
aapki shan ke kabil mera ghar ho ki na ho, jajbaye dil se hu betab bulane ke liye.

25
Ek phool maa baap ke gulshan me khila tha, ek aur gulista ne use mang liya hai

26
khuda ka fazl hai jo ghar hamare shadmani hai, Rasule pak ka sadka hai ye unki mehrbani hai.

27
aap bhi aake musarrat ke gultar chun le, baad muddat ke mere ghar me bahar aayi hai

28
kholuse najr karenge jo ikhteyar me hai, Chale bhi aao ki har shaks intejar me hai.

29
jra jahmat kre tashrif laye dil ki wadi me, meri ijjat badhegi shirkat kre beti ki shadi me.

30
wakte adaye sunnat kya ho bya khusi ka, daste henaye dukhtar ya rab sajaye rakhna.

31
altafe khudawande do aalam ki badaulat, khus hu ki ajijo ke bulane ke din aye.

32
nigahe sahuk muntjir thi jiski muddat se, dikhaya woh shma allah ne aaj apni qudrat se.

33
jashne shadi ki jaan to tum ho, tum na aao to kaise baat bane.

34
na jane kis gali se aayenge aap, dil ki ye zid hai ki har gali saja du aaj

35
Ham ne pahucha diya paigame mohabbat unko, ab wo ayenge agar unko mohabbat hogi.

36
juda karta na hargij mai kabhi is dil ke tukde ko, agar shadi rasulallah ki sunnat nhi hoti.

37
ham ko to khusi hogi bas aap ke ane se, ham aap se mil lenge shadi ke bahane se.

38
nayi hayat ka paigam jashne shadi hai, khudaye pak ka inaam jashne shadi hai.

39
kitabe zindagi ka ek nya unwan hai shadi, ye sunnat hai nabi ki, rahmate Rahman hai shadi.

40
sehre me khusboo shayad madine se ayi hai, raunak dulhan ke chehre pe jannat se aayi hai.

41
shariat ka takaza hai farj bhi majboor karta hai, ye kaisa jashn hai lakhte ziagar ko door karta hai.

42
maasoom beti ghar se juda kar rha hu main, har wakt khus rhe ye dua kr rha hu main.

43
beti ki rukhsati ka sama bhi ajeeb hai, aankhe hain ashk baar khusi hi naseeb hai.

44
ada karne rasulallah ki sunnat chale aao. na thukrao meri hasrat bhari dawat chale aao.

45
ek sunnate rasul ada kar rha hu mai, dil se nahi najar se juda kar rha hu main.

46
phool sehre ke to kismat se khila karte hain. Milne wale to mukaddar se mila karte hain.

47
dulha dulhan ki zindagi yuhi tamam ho, makke me subah ho to madine me shaam ho.

48
is dawate nishat ki tabish hai aap se, shirkat ki purkholus gujarish hai aapse

49
wallah jo mil jaye mere gul ka paseena, mange na kabhi itr na fir chahe dulhan phool.

Ye total 50 shyari hai for muslim wedding card pasand aye to apne doston ke sath share kare
aur apne costomer ko bhi share karke usse puchh sakte hain ki btayiye kaun sa shayri apke card par dala jaye
Follow me on Instagram: http://instagram.com/tr_bahadurpur
Pingback: 20 Best Happy Birthday Banner Background to you – TR-BAHADURPUR