Photoshop me png image banane ka kyi tarika hai
mera matlab png image banane ke liye background ko hatane ka kayi trika hai
purane version me aap magic tool se background select krke remove kar sakte hain
nye me yani c6 wagairh me aap magic tool ke alawa quick slection tool ka bhi istemla kar sakte hain
us se bhi latest version me ab direct object selection ka tool aa gya hai jispe click karte hi apka object slect ho jayega
aur aap background ko asani se remove kar sakte hain select menu me jakar invert pe click kriye
aur delet kr dijiye apka background delet ho jayega
aur apka image transperent ho jayega
ab aap file menu me jakar ya ctrl + shift+ s press karke bhi png me save kr sakte hain
jise hi aap save us pe click krenge apke samne ek new window khul kr ayega usme aap apne file ka naam likh dijiye
aur niche psd file likha hoga uspe click kr ke png slect kr lijiye aur ok kr dijiye
apka png file ready ho gya
aap chahe to remove.bg ka istemal kr skate hain bina mehnat ka apka file png ban jayega
ise aur achche se samjhne ke liye aap youtube pe video dekh sakte hain
youtube open kriye likhiye how to make png in photoshop apke samne bahut sari video aa jayengi
aap unhe dekh kr sikh sakte hain
haa youtube pr bahut sara video aa jayega apko smjh me nhi ayega ki aap kiska video dekhe kaun achche se smjhata hai
to rukiye mai apko ek video yahi dal deta hu ap ise dekh lijiye apko asani se samjh me aa jayega.